Ghar Kab Aaoge (From "Border 2")

Ghar Kab Aaoge (From "Border 2")

Anu Malik/Mithoon/Sonu Nigam/Arijit Singh/Roop Kumar Rathod/Vishal Mishra/Diljit Dosanjh/Javed Akhtar/Manoj Muntashir

作词 : Javed Akhtar/Manoj Muntashir

作曲 : Javed Akhtar/Manoj Muntashir

Sandese aate hain, humein tadpaate hain

Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai

Ki ghar kab aaoge, ki ghar kab aaoge

Likho kab aaoge

Ki tum bin ye ghar soona, soona hai

Sandese aate hain, humein tadpaate hain

Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai

Ki ghar kab aaoge? ki ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ki tum bin ye dil soona, soona hai

Ye dil jo barson se tha khaali-khaali sa

Kisi ke aane se saja Diwali sa

Jage hain darwaaze kisi ki aahat se

Savera hota kisi ki karvat se

Main sochta karta hoon yahi tanhaai mein

Ke chanda utrega meri angnaai mein

Naseebon waali ne, kaan ki baali ne, chauth ki thaali ne

Aur poochha hai mehndi ki laali ne

Ki ghar kab aaoge?

Ki ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ki tum bin ye dil soona, soona hai

Sandese aate hain, humein tadpaate hain

Jo chitthi aati hai, wo poochhe jaati hai

Ki ghar kab aaoge, ki ghar kab aaoge

Likho kab aaoge

Ki tum bin ye ghar soona, soona hai

Ye poochho aankhon ke jhalakte paani se

Bichhadte hain koi kahaan aasaani se

Main peeche chhod aaya, duaaein karti maa

Ki usse bhi pyaari, mujhe ye dharti maa

Kisi ne dheere se kaha tha laut aana

Main raasta dekhoongi mujhe na tadpaana

Jaagti raaton ne, ankahi baaton ne, adhoore vaadon ne

Aur poochha hai uski yaadon ne

Ki ghar kab aaoge?

Ki ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ki tum bin ye dil soona, soona hai

Badi yaad aati hai, kisi ki raaton mein

Kalaai resham si, abhi hai haathon mein

Shaayari jaisi wo, labon pe rehti hai

Mohabbat jaisi wo, ragon mein behti hai

Jo gudiyon se khele, wo gudiyaan yaad aayein

Ki baaton-baaton mein usi ki baat aaye

Mere dildaaron ne, gali-bazaaron ne, ki chitthi-taaron ne

Aur poochha hai mere yaaron ne

Ki ghar kab aaoge?

Ki ghar kab aaoge?

Likho kab aaoge?

Ki tum bin ye dil soona, soona hai

Ae guzarne waali hawa bata

Mera itna kaam karegi kya?

Mujhe chhod ke jo chala gaya, use dhoondh la

Koi rehguzar ya koi gali

Mujhe aaj tak to nahin mili

Jo mita sake ye faasla

Jo mita sake ye faasla

Meri saari jawaani le gaya

Aur aankh mein paani de gaya

Jise dohraaoonga umr bhar

Wo aisi kahaani de gaya

Ae guzarne waali hawa tujhe

Hai qasam na rula aise mujhe

Main kahaan se laaun wo dil bata

Jisse ho qubool ye alvida

Main wapas aaunga, main wapas aaunga

Phir apne gaon mein, pyaar ki chhaon mein

Tarasti aankhon se, kisi ki baahon se, ke ghar ke raahon se

Kiya jo waada tha wo nibhaunga

Main wapas aaunga, main wapas aaunga

Main wapas aaunga, main wapas aaunga

Ghar Kab Aaoge (From "Border 2")

Ghar Kab Aaoge (From "Border 2")

Anu Malik/Mithoon/Sonu Nigam/Arijit Singh/Roop Kumar Rathod/Vishal Mishra/Diljit Dosanjh/Javed Akhtar/Manoj Muntashir

00:00 / 00:00