India Waale (Electronic)

India Waale (Electronic)

Shankar Mahadevan/Vishal Dadlani/K.K.

作词 : Irshad Kamil

作曲 : Irshad Kamil

Ho maane ya koi maane na

Yahaan apni bhi thodi adaa thoda andaaz hai

Aise hain chaahe waise hain

Arey jo bhi hain jaise hain

Khud pe humein naaz hai

Jaane na humko ye zamaana

Chaaho to humko aazmaana

Hum yaar-baaz hum jaal-saaz

Hum ishq-baaz dilwaale

Kehte hain humko pyar se Indiawaale

Chhu lete dil ke taar se Indiawaale

Har jeet cheen le haar se Indiawaale.

Dushman ke chak'ke chhuda de hum Indiawale

Dushman ke chak'ke chhuda de hum Indiawale

Yun toh seedhe bade.

Kabhi chahein to haathon se lete laqeerein chura

O. humko parwaah nahi

Jo bhi kehta hai, kehne de jag ye bhala ya bura

Jaisi bhi marzi ho humaari

Karte hain aisi hoshiyaari

Par dil se yaar jo le pukaar

To jaan nisaar kar daalein

Kehte hain humko pyar se Indiawaale

Chhu lete dil ke taar se Indiawale

Har jeet cheen le haar se Indiawaale

Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawaale

Ungli pe sabko nachaa dein hum Indiawaale

Aankhon ki aankhon ki chaabi se

Thoda betaabi se chupke se khole dilon ke taale

Jaan dete, usko jahaan dete

Apna imaan dete jiski bhi baahein gale me daale

Duniya se humko kya le jaana

Yaaron ke dil mein ho thikana

Humein ek baar hota hai pyaar

Ye laakh baar kehla le

Kehte hain humko pyar se Indiawaale

Chhu lete dil ke taar se Indiawaale

Har jeet cheen le haar se Indiawaale.

Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawaale

Dushman ke chakke chhuda de, chhuda de...

Ungli pe sabko nachaa dein.

Dushman ke chakke chhuda de hum Indiaawale

India Waale (Electronic)

India Waale (Electronic)

Shankar Mahadevan/Vishal Dadlani/K.K.

00:00 / 00:00