Triple7
作曲 : Triple 7
Baitha hu akela mai
Mere saath nahi koi
Din ka sawera hai pr
Meri raat nahi koi
Din mein toh bheed mein hota hu
Pr raat bhi mere paas nahi
Chal rahi hai saansein bas
Zindagi ye kuch khaas nahi
Mind mein 100-100 cheezein daude
Qismat hai naraaz kahin
Mai toh kabse ruka hua hoon
Ansuon ki barsaat nahi
Baitha hu akela mai
Mere saath nahi koi
Din ka sawera hai pr
Meri raat nahi koi
Kandhe pe zimmedariyan leke
Nikla tha naye raste pe
Shuru shuru mein excited tha
Fir mehnge se ekdum saste pe
Pta lga kya hoti hai mehnat
Chillar the mere baste mein
Is se dugni mehnat karke
Papa kaise haste hain
Honsla tha is baat ka mere
Passion ko log samjhenge
Jaanta hoon ki time lagega
Kuch na kuch toh banne mein
Jald hi din wo ayega
Jab papa ko favourite car dilau
Mummy jispe haath rakhe
Us cheez ko unke kadam chuau
Behen ki shaadi dhoom dham se
Itni mai aukaat banau
Bholenath ka haath rahe
Duniyan mein mai naam bnau
Fir khud ka bhi kuch socha hai
Ghar banana mahal ke jaisa
Usmein 4-5 gaadiyan hongi
Khatam na ho itna paisa
Mandir hoga BHOLENATH ka
Jo hamesha mere saath raha
Din bhi hoga raat bhi hogi
Abhi chahe koi ni saath raha
Triple7